5 PILLARS OF ISLAM
Islam is the solution for all the problems.
Islam is peace for people of various faiths who seek to understand Islam, Muslims & Quran.
ISLAM sikhata h k ALLAH 1☝ hai.or wo hi IBADAT k layq h. uske siwa koi mabood nhi .
hazrat Mohammad (ﷺ) Allah k bnde or rasool hai.
ISLAM KI BUNYAD "5" CHEEZO PR HAI..
1) TOHEED
2) NAMAZ
3) ROZA (1 MAHINE K ROZE RAKHNA)
4) ZAKAT (APNI SAAL BHAR KI BACHAT KA 2.5% GAREEBO M BATNA)
5) HAJJ
1) TOHEED (Testimony of Faith)
toheed ka mtlb h ALLAH ko 1 manna or uski zaat m kisi dusre ko shareek na krna..
kisi dusre ko shreeq krne ko SHIRQ kehte h . or ALLAH pak sb gunhao ko maaf kr dega siwa-e shirq k
(allah pak hm sbko shirq s bachaye Aameen summa Aameen)
2) NAMAZ (salah)
har muslam pr 5 waqt ki NAMAZ ko ALLAH PAK n farz kiya h. jiski maafi ni h jo hme har haal m ada krni h agr koi apne hawas kho betha ho to maaf h..
(hawas-mtlb pagl hona)
3) ROZA (fasting)
Allah pak ne har musalman pr 1 mahine k roze farz kiye hai.. ALLAH PAK ne 12 saal ki umar ke bacho pr roza farz kiya h lakin 7 saal ke baad bacho ko roza or namaz ki adat dali jati hai or wo islamic bato ko follow bhi krte hai.
ROZA apne RAB ko manane or uske kareeb jane ka rasta hai.
(jab koi banda roza rakhta hai Allah ke naam pr to us shakhs par Allah pak apni rehmate or barkate nazil krta hai..
4) ZAKAT (Charity)
Zakat dena bhi har musalmaan pe farz hai. apne kharch k baad jo hum saving krte hai uska 2.5% gareebo or yateemo m taqseem krna. agr hmare kharch k baad 100 rupees bachte hai to usme se 2.5 rs kisi mustahik ko diye jate h. agr kisi k pas gold or silver ki jewelleries hai to unko current time k hisab s calculate krke uska bhi 2.5% hr saal nikalna farz hai.
5) HAJJ (Pilgrimage)
Hajj us har musalmaan p farz hai, jo mali halat (money)s jane ki takat rakhta ho.
Allah pak n Deen m asani rakhi h isiliye hajj har musalman p farz ni kiya. bs unhi p farz h jo kr skte h..
Comments
Post a Comment